aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain

Salam Machhli shahri

kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    kaash tum samajh saktīñ zindagī meñ shā.er aise din bhī aate haiñ

    jab usī ke parvarda chāñd us pe hañste haiñ phuul muskurāte haiñ

    ab to mere shah-pāre jo tum se the mansūb yuuñ jhalak dikhāte haiñ

    duur ek mandir meñ kuchh diye murādoñ ke jaise jhilmilāte haiñ

    tum ne kab ye samjhā thā maiñ ne kab ye sochā thā zindagī rāhoñ meñ

    chalte chalte do raahī ek moḌ par aa kar ḳhud chhūT jaate haiñ

    kaam husn-kāroñ āñsuoñ zau de kar kuchh kañval khilā denā

    maut husn-kāroñ jab vo ḳhud shab-e-ġham meñ ye diye bujhāte haiñ

    tez-tar havā.eñ haiñ maut fazā.eñ haiñ raat sard o jāmid hai

    ahmarīñ sitāre bhī vāqa.ī divāne haiñ ab bhī muskurāte haiñ

    alvidā ai merī shāhkār nazmoñ zar-nigār shahzādī

    māvarā-e-ulfat bhī kuchh na.e taqāze haiñ jo mujhe bulāte haiñ

    kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain

    jab usi ke parwarda chand us pe hanste hain phul muskuraate hain

    ab to mere shah-pare jo tum hi se the mansub yun jhalak dikhate hain

    dur ek mandir mein kuchh diye muradon ke jaise jhilmilate hain

    tum ne kab ye samjha tha main ne kab ye socha tha zindagi ki rahon mein

    chalte chalte do rahi ek moD par aa kar KHud hi chhuT jate hain

    kaam husn-karon ka aansuon ki zau de kar kuchh kanwal khila dena

    maut husn-karon ki jab wo KHud shab-e-gham mein ye diye bujhate hain

    tez-tar hawaen hain maut ki fazaen hain raat sard o jamid hai

    ahmarin sitare bhi waqai diwane hain ab bhi muskuraate hain

    alwida ai meri shahkar nazmon ki zar-nigar shahzadi

    mawara-e-ulfat bhi kuchh nae taqaze hain jo mujhe bulate hain

    Source:

    Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 126)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now