Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya

Umar Ansari

kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya

Umar Ansari

MORE BYUmar Ansari

    kar apnī baat ki pyāre kisī baat se kyā

    liyā hai kaam batā ne is hayāt se kyā

    yahāñ to jo bhī hai raahī hai band galiyoñ

    nikal ke dekhā hai kis ne hisār-e-zāt se kyā

    thī band band bahut guftugū-e-yār magar

    khule haiñ uqda-e-dil us baat baat se kyā

    vo chup lagī hai ki hañstā hai aur na rotā hai

    ye ho gayā hai ḳhudā jaane dil ko raat se kyā

    ye rāz-e-dair-o-haram hai kisī ko kyā ma.alūm

    kahāniyoñ ko ilāqa hai vāqi.āt se kyā

    shikast to kisī ko jahāñ gumāñ bhī na thā

    nikal ga.e haiñ vo maidāñ hamāre haat se kyā

    haiñ roz-e-abr ke mushtāq-e-dīd to lākhoñ

    liyā hai kis ne magar abr ke sifāt se kyā

    har ik to apnī ġharaz le ke ham se miltā hai

    uThā.eñ fā.eda kis ke ta.alluqāt se kyā

    koī to maqsad-e-sher-o-adab bhī hogā 'umar'

    na hoñ jo kaam aisī nigārshāt se kyā

    kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya

    liya hai kaam bata tu ne is hayat se kya

    yahan to jo bhi hai rahi hai band galiyon ka

    nikal ke dekha hai kis ne hisar-e-zat se kya

    thi band band bahut guftugu-e-yar magar

    khule hain uqda-e-dil us ki baat baat se kya

    wo chup lagi hai ki hansta hai aur na rota hai

    ye ho gaya hai KHuda jaane dil ko raat se kya

    ye raaz-e-dair-o-haram hai kisi ko kya malum

    kahaniyon ko ilaqa hai waqiat se kya

    shikast ka to kisi ko jahan guman bhi na tha

    nikal gae hain wo maidan hamare hat se kya

    hain roz-e-abr ke mushtaq-e-did to lakhon

    liya hai kis ne magar abr ke sifat se kya

    har ek to apni gharaz le ke hum se milta hai

    uThaen faeda kis ke talluqat se kya

    koi to maqsad-e-sher-o-adab bhi hoga 'umar'

    na hon jo kaam ki aisi nigarshat se kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now