kashti rahi bhanwar mein kinara nahin mila
kashtī rahī bhañvar meñ kinārā nahīñ milā
ulfat ke rāste meñ sahārā nahīñ milā
rāh-e-vafā meñ ham ko mile haiñ 'adū bahut
lekin koī bhī yaar hamārā nahīñ milā
dil ko ġham-e-firāq bhulāne ke vāste
iz.hār ke sivā koī chārā nahīñ milā
tum se huā hai qat'-e-ta'alluq to is ke baa'd
saare jahāñ meñ saanī tumhārā nahīñ milā
har she'r mujh ko ḳhūn-e-jigar ke 'evaz milā
ye fan kisī ke dar se udhārā nahīñ milā
paiġhām-e-‘ishq shahr-e-‘adāvat meñ rā.egāñ
ho jis ko aaj 'ishq gavārā nahīñ milā
māyūs ho na 'zain' ki aisā nahīñ koī
jis ko mohabbatoñ meñ ḳhasārā nahīñ milā
kashti rahi bhanwar mein kinara nahin mila
ulfat ke raste mein sahaara nahin mila
rah-e-wafa mein hum ko mile hain 'adu bahut
lekin koi bhi yar hamara nahin mila
dil ko gham-e-firaq bhulane ke waste
izhaar ke siwa koi chaara nahin mila
tum se hua hai qat'-e-ta'alluq to is ke ba'd
sare jahan mein sani tumhaara nahin mila
har she'r mujh ko KHun-e-jigar ke 'ewaz mila
ye fan kisi ke dar se udhaara nahin mila
paigham-e-‘ishq shahr-e-‘adawat mein raegan
ho jis ko aaj 'ishq gawara nahin mila
mayus ho na 'zain' ki aisa nahin koi
jis ko mohabbaton mein KHasara nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.