Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khulta hai yun hawa ka daricha samajh liya

Saeed Ahmad

khulta hai yun hawa ka daricha samajh liya

Saeed Ahmad

MORE BYSaeed Ahmad

    khultā hai yuuñ havā darīcha samajh liyā

    ḳhud ko shajar pe āḳhirī pattā samajh liyā

    bhaTke hue ḳhayāl sūrat use mile

    bhūlā huā umiid rastā samajh liyā

    ik ye savāl hal nahīñ hotā visāl meñ

    kitnā qarīb aa ga.e kitnā samajh liyā

    miltī rahegī ḳhvāb sauġhāt ḳhvāb meñ

    hotā rahegā tai safar apnā samajh liyā

    uThne lagī hai shaam dīvār phir kahīñ

    girne lagā hai dhuup ḳhema samajh liyā

    apnā mirā qadīm makānoñ meñ hai koī

    ek is sabab se dil ujaḌnā samajh liyā

    us din se pāniyoñ tarah bah rahe haiñ ham

    jis din se pattharoñ irāda samajh liyā

    khulta hai yun hawa ka daricha samajh liya

    KHud ko shajar pe aaKHiri patta samajh liya

    bhaTke hue KHayal ki surat use mile

    bhula hua umid ka rasta samajh liya

    ek ye sawal hal nahin hota visal mein

    kitna qarib aa gae kitna samajh liya

    milti rahegi KHwab ki saughat KHwab mein

    hota rahega tai safar apna samajh liya

    uThne lagi hai sham ki diwar phir kahin

    girne laga hai dhup ka KHema samajh liya

    apna mera qadim makanon mein hai koi

    ek is sabab se dil ka ujaDna samajh liya

    us din se paniyon ki tarah bah rahe hain hum

    jis din se pattharon ka irada samajh liya

    Source:

    duniyaa zaad (Pg. 209)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now