Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin

Aslam Aazad

kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin

Aslam Aazad

MORE BYAslam Aazad

    kisht-e-dil vīrāñ sahī tuḳhm-e-havas boyā nahīñ

    ḳhvāhishoñ bojh maiñ ne aaj tak Dhoyā nahīñ

    us āñkhoñ meñ bichhā hai surḳh tahrīroñ jaal

    aisā lagtā hai ki ik muddat se vo soyā nahīñ

    ḳhvāb anjān khiḌkī meñ nazar aayā thā jo

    zehn ne us chehra-e-mānūs ko khoyā nahīñ

    ek muddat par mile bhī to na milne tarah

    is tarah ḳhāmosh ho muñh meñ zabāñ goyā nahīñ

    maiñ ne apnī ḳhvāhishoñ qatl ḳhud kar diyā

    haath ḳhūn-ālūd haiñ in ko abhī dhoyā nahīñ

    dekh kar hoñToñ pe mere muskurāhaT lakīr

    vo samajhte haiñ ki 'aslam' maiñ kabhī royā nahīñ

    kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin

    KHwahishon ka bojh main ne aaj tak Dhoya nahin

    us ki aankhon mein bichha hai surKH tahriron ka jal

    aisa lagta hai ki ek muddat se wo soya nahin

    KHwab ki anjaan khiDki mein nazar aaya tha jo

    zehn ne us chehra-e-manus ko khoya nahin

    ek muddat par mile bhi to na milne ki tarah

    is tarah KHamosh ho munh mein zaban goya nahin

    main ne apni KHwahishon ka qatl KHud hi kar diya

    hath KHun-alud hain in ko abhi dhoya nahin

    dekh kar honTon pe mere muskurahaT ki lakir

    wo samajhte hain ki 'aslam' main kabhi roya nahin

    Source:

    Mukhtalif (Pg. 85)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now