Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh is tarah sula diya gaya mujhe

Naved Raza

kuchh is tarah sula diya gaya mujhe

Naved Raza

MORE BYNaved Raza

    kuchh is tarah sulā diyā gayā mujhe

    ki jāgnā bhulā diyā gayā mujhe

    koī to hai jo us ko yaad hai bahut

    ye kis tarah bhulā diyā gayā mujhe

    maiñ ḳhud ko dūsroñ se kyā judā karūñ

    bahut milā-julā diyā gayā mujhe

    na jaane ye namī kahāñ se aa ga.ī

    na jaane kab rulā diyā gayā mujhe

    vo ek dar bhī pāniyoñ ke ruḳh pe thā

    jo ek dar khulā diyā gayā mujhe

    kuchh is tarah sula diya gaya mujhe

    ki jagna bhula diya gaya mujhe

    koi to hai jo us ko yaad hai bahut

    ye kis tarah bhula diya gaya mujhe

    main KHud ko dusron se kya juda karun

    bahut mila-jula diya gaya mujhe

    na jaane ye nami kahan se aa gai

    na jaane kab rula diya gaya mujhe

    wo ek dar bhi paniyon ke ruKH pe tha

    jo ek dar khula diya gaya mujhe

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 716)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now