lamhon mein bhula di hai shanasai mohabbat
lamhoñ meñ bhulā dī hai shanāsā.ī mohabbat
kyā ab hameñ is moḌ pe le aa.ī mohabbat
sūraj kī tarah dil pe 'ayāñ jalva-e-jānāñ
bādal kī tarah āñkhoñ ne barsā.ī mohabbat
kyoñ aaj ḳhasāre pe tire ashk bahe haiñ
lagtā hai kisī ne nahīñ samjhā.ī mohabbat
dīnār mayassar haiñ to haiñ yaar mayassar
bāzār meñ bikne ko chalī aa.ī mohabbat
jab yaad meñ taḌpeñ to mohabbat ko baḌhā deñ
ḳhud dard-e-mohabbat kī masīhā.ī mohabbat
duniyā tirā mujrim hai ise tū hī sazā de
rasman thī gunah 'zain' ne dohrā.ī mohabbat
lamhon mein bhula di hai shanasai mohabbat
kya ab hamein is moD pe le aai mohabbat
suraj ki tarah dil pe 'ayan jalwa-e-jaanan
baadal ki tarah aankhon ne barsai mohabbat
kyon aaj KHasare pe tere ashk bahe hain
lagta hai kisi ne nahin samjhai mohabbat
dinar mayassar hain to hain yar mayassar
bazar mein bikne ko chali aai mohabbat
jab yaad mein taDpen to mohabbat ko baDha den
KHud dard-e-mohabbat ki masihai mohabbat
duniya tera mujrim hai ise tu hi saza de
rasman thi gunah 'zain' ne dohrai mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.