Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahak raha hai tasawwur mein KHwab ki surat

Abdul Wahab Sukhan

mahak raha hai tasawwur mein KHwab ki surat

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    mahak rahā hai tasavvur meñ ḳhvāb sūrat

    khilā khilā vo chehra gulāb sūrat

    savāl us se ajab merī ḳhāmushī ne kiyā

    hañsī laboñ pe thī us ke javāb sūrat

    kitāb-e-dil mirī ek baab ho tum bhī

    tumheñ bhī paḌhtā huuñ maiñ ik nisāb sūrat

    pukārā jab bhī mujhe tum ne dasht-e-imkāñ se

    koī umiid ubhrī sarāb sūrat

    ye us ke qurb pādāsh meñ 'suḳhan' ham ko

    nasīb hijr huā hai azaab sūrat

    mahak raha hai tasawwur mein KHwab ki surat

    khila khila sa wo chehra gulab ki surat

    sawal us se ajab meri KHamushi ne kiya

    hansi labon pe thi us ke jawab ki surat

    kitab-e-dil ka meri ek bab ho tum bhi

    tumhein bhi paDhta hun main ek nisab ki surat

    pukara jab bhi mujhe tum ne dasht-e-imkan se

    koi umid si ubhri sarab ki surat

    ye us ke qurb ki padash mein 'suKHan' hum ko

    nasib hijr hua hai azab ki surat

    Source:

    Nai Rut Ka Safar (Pg. 59)

    • Author: Abdul Wahab Sukhan
      • Edition: 2014
      • Publisher: Mishkaat Printer, Aligrah
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now