Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main kya hun mujhe tumne jo aazar pe khincha

Ahmad Faqih

main kya hun mujhe tumne jo aazar pe khincha

Ahmad Faqih

MORE BYAhmad Faqih

    maiñ kyā huuñ mujhe tum ne jo āzār pe khīñchā

    duniyā ne masīhāoñ ko bhī daar pe khīñchā

    zindoñ to maskan bhī yahāñ qabr-numā hai

    murdoñ ko magar darja-e-autār pe khīñchā

    vo jaatā rahā aur maiñ kuchh bol na paayā

    chiḌiyoñ ne magar shor dīvār pe khīñchā

    kuchh bhī na bachā shahr meñ juz rone rut ke

    har sho.ala-e-āvāz ko malhār pe khīñchā

    yūsuf kabhī nīlām huā kartā thā lekin

    yūsuf ko bhī is shahr ne hai daar pe khīñchā

    phūTe haiñ mere dil meñ phir inkār ke sote

    phir dil ne mujhe hālat-e-dushvār pe khīñchā

    har shai haqīqat meñ utar jaa.eñ ab āñkheñ

    zulmat ne mujhe dīda-e-bedār pe khīñchā

    dukh ālam-e-insān ke the jo vo chhupā.e

    ḳhat chāñd ko sar karne aḳhbār pe khīñchā

    tum ne to 'faqīh' apnī anā kas ke mujhe bhī

    paikāñ tarah hālat-e-paikār pe khīñchā

    main kya hun mujhe tum ne jo aazar pe khincha

    duniya ne masihaon ko bhi dar pe khincha

    zindon ka to maskan bhi yahan qabr-numa hai

    murdon ko magar darja-e-autar pe khincha

    wo jata raha aur main kuchh bol na paya

    chiDiyon ne magar shor sa diwar pe khincha

    kuchh bhi na bacha shahr mein juz rone ki rut ke

    har shoala-e-awaz ko malhaar pe khincha

    yusuf kabhi nilam hua karta tha lekin

    yusuf ko bhi is shahr ne hai dar pe khincha

    phuTe hain mere dil mein phir inkar ke sote

    phir dil ne mujhe haalat-e-dushwar pe khincha

    har shai ki haqiqat mein utar jaen ab aankhen

    zulmat ne mujhe dida-e-bedar pe khincha

    dukh aalam-e-insan ke the jo wo chhupae

    KHat chand ko sar karne ka aKHbar pe khincha

    tum ne to 'faqih' apni ana kas ke mujhe bhi

    paikan ki tarah haalat-e-paikar pe khincha

    Source:

    Urdu Gazal Ka Magribi Daricha (Pg. 619)

    • Author: Dr. Jawaz Jafri
      • Edition: 2011
      • Publisher: Kitabsaray Lahore (Pakistan)
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now