aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki

Haleem Qureshi

mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki

Haleem Qureshi

MORE BYHaleem Qureshi

    mausam-e-hijr ke aane ke shikāyat nahīñ

    ai mire dil tujhe kyā ho gayā vahshat nahīñ

    koī ilzām koī tanz koī rusvā.ī

    din bahut ho ga.e yāroñ ne ināyat nahīñ

    lafz ke shauq meñ aisā bhī maqām aayā hai

    juz kisī sher aamad koī hasrat nahīñ

    jis ke nashshe meñ koī hijr guzār aa.e haiñ

    vo ghaḌī vasl ham ne kabhī ruḳhsat nahīñ

    ab tujhe kaise batā.eñ ki tirī yādoñ meñ

    kuchh izāfa kiyā ham ne ḳhayānat nahīñ

    saare me.aar vafāoñ ke nibhā.e ham ne

    us ko chhoḌā to bahut soch ke, ujlat nahīñ

    ishq dariyā bhī samundar bhī kināra bhī halīm

    Dūbne vaale ko dekhā hai to hairat nahīñ

    mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki

    ai mere dil tujhe kya ho gaya wahshat nahin ki

    koi ilzam koi tanz koi ruswai

    din bahut ho gae yaron ne inayat nahin ki

    lafz ke shauq mein aisa bhi maqam aaya hai

    juz kisi sher ki aamad koi hasrat nahin ki

    jis ke nashshe mein koi hijr guzar aae hain

    wo ghaDi wasl ki hum ne kabhi ruKHsat nahin ki

    ab tujhe kaise bataen ki teri yaadon mein

    kuchh izafa hi kiya hum ne KHayanat nahin ki

    sare mear wafaon ke nibhae hum ne

    us ko chhoDa to bahut soch ke, ujlat nahin ki

    ishq dariya bhi samundar bhi kinara bhi halim

    Dubne wale ko dekha hai to hairat nahin ki

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 30.04.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now