Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut ne muskura ke puchha hai

Abbas Dana

maut ne muskura ke puchha hai

Abbas Dana

MORE BYAbbas Dana

    maut ne muskurā ke pūchhā hai

    zindagī mizāj kaisā hai

    us āñkhoñ meñ merī ġhazleñ haiñ

    merī ġhazloñ meñ us chehrā hai

    us se pūchho azaab rastoñ

    jis sāthī safar meñ bichhḌā hai

    chāñdnī sirf hai fareb-e-nazar

    chāñd ke ghar meñ bhī añdherā hai

    ishq meñ bhī maza hai jiine

    ġham uThāne gar salīqa hai

    chhoḌ zaḳhmoñ pe tabsira karnā

    ab qalam se lahū Tapaktā hai

    raushnī zabān meñ 'dānā'

    vo charāġhoñ se baat kartā hai

    maut ne muskura ke puchha hai

    zindagi ka mizaj kaisa hai

    us ki aankhon mein meri ghazlen hain

    meri ghazlon mein us ka chehra hai

    us se puchho azab raston ka

    jis ka sathi safar mein bichhDa hai

    chandni sirf hai fareb-e-nazar

    chand ke ghar mein bhi andhera hai

    ishq mein bhi maza hai jine ka

    gham uThane ka gar saliqa hai

    chhoD zaKHmon pe tabsira karna

    ab qalam se lahu Tapakta hai

    raushni ki zaban mein 'dana'

    wo charaghon se baat karta hai

    Source:

    Fanoos (Pg. 16)

    • Author: Abbas Dana
      • Edition: 1993
      • Publisher: Shahid Book Depo, Ahmadabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now