mera ek shaKHs se rabta nahin ho raha
mirā ek shaḳhs se rābta nahīñ ho rahā
mirā ḳhud se koī mukālima nahīñ ho rahā
tujhe raushnī se judā karūñ kisī shaam maiñ
tujhe itnī taab meñ dekhnā nahīñ ho rahā
tirī shakl mujh meñ zarā numū nahīñ pā rahī
mirā aa.ina mirā aa.ina nahīñ ho rahā
baḌī tez tez maiñ dauḌtā huuñ tirī taraf
kisī tarh kam pa ye faisla nahīñ ho rahā
koī dil se dard kī bel aisī lipaT ga.ī
kisī tarh peḌ mirā harā nahīñ ho rahā
ai jamāl tū ne badan kiyā mujhe is tarah
mirī ruuh se tirā haq adā nahīñ ho rahā
tirī qurbatoñ meñ guzar rahe haiñ hamāre din
hameñ kyoñ magar tirā tajraba nahīñ ho rahā
mera ek shaKHs se rabta nahin ho raha
mera KHud se koi mukalima nahin ho raha
tujhe raushni se juda karun kisi sham main
tujhe itni tab mein dekhna nahin ho raha
teri shakl mujh mein zara numu nahin pa rahi
mera aaina mera aaina nahin ho raha
baDi tez tez main dauDta hun teri taraf
kisi tarh kam pa ye faisla nahin ho raha
koi dil se dard ki bel aisi lipaT gai
kisi tarh peD mera hara nahin ho raha
ai jamal tu ne badan kiya mujhe is tarah
meri ruh se tera haq ada nahin ho raha
teri qurbaton mein guzar rahe hain hamare din
hamein kyon magar tera tajraba nahin ho raha
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 95)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.