Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere shauq-e-justuju ka kise etibar hota

Adeeb Saharanpuri

mere shauq-e-justuju ka kise etibar hota

Adeeb Saharanpuri

MORE BYAdeeb Saharanpuri

    mire shauq-e-justujū kise e'tibār hotā

    sar-e-rāh manziloñ tak na agar ġhubār hotā

    maiñ tujhe ḳhudā samajh kar na gunāhgār hotā

    agar ek be-niyāzī tirā ash.ār hotā

    jo sitam-zadoñ yā-rab koī ġham-gusār hotā

    to ġham-e-hayāt itnā na diloñ pe baar hotā

    mirī zindagī meñ shāmil jo na terā pyaar hotā

    to nashāt-e-do-jahāñ bhī mujhe nāgavār hotā

    yahī mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yā-rab

    ki unheñ bhī chain miltā jo mujhe qarār hotā

    na sukūn-e-dil chāhat meñ taḌap 'adīb' itnā

    kisī aur ko miltā jo kahīñ qarār hotā

    mere shauq-e-justuju ka kise e'tibar hota

    sar-e-rah manzilon tak na agar ghubar hota

    main tujhe KHuda samajh kar na gunahgar hota

    agar ek be-niyazi hi tera ashaar hota

    jo sitam-zadon ka ya-rab koi gham-gusar hota

    to gham-e-hayat itna na dilon pe bar hota

    meri zindagi mein shamil jo na tera pyar hota

    to nashat-e-do-jahan bhi mujhe nagawar hota

    yahi mahr o mah o anjum ko gila hai mujh se ya-rab

    ki unhen bhi chain milta jo mujhe qarar hota

    na sukun-e-dil ki chahat mein taDap 'adib' itna

    kisi aur ko tu milta jo kahin qarar hota

    Source:

    mahvar (Pg. 67)

    • Author: adeeb saharanpuri
      • Publisher: Narendra Nishchint 16.a/12 Western Extension area New Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now