Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddat se koi unki tahrir nahin milti

Anjana Sandhir

muddat se koi unki tahrir nahin milti

Anjana Sandhir

MORE BYAnjana Sandhir

    muddat se koī un tahrīr nahīñ miltī

    kuchh dil ke bahalne tadbīr nahīñ miltī

    har ik ko nahīñ hotā irfān mohabbat

    har ik ko mohabbat jāgīr nahīñ miltī

    bachchoñ ko to is tarah jalte nahīñ dekhā thā

    tārīḳh meñ kuchh aisī tahrīr nahīñ miltī

    panjāb ko dekho to ik aag dariyā hai

    kashmīr meñ jannat tasvīr nahīñ miltī

    is desh ke logoñ ne chālīs baras pahle

    ik ḳhvāb to dekhā thā tā'bīr nahīñ miltī

    muddat se koi un ki tahrir nahin milti

    kuchh dil ke bahalne ki tadbir nahin milti

    har ek ko nahin hota irfan mohabbat ka

    har ek ko mohabbat ki jagir nahin milti

    bachchon ko to is tarah jalte nahin dekha tha

    tariKH mein kuchh aisi tahrir nahin milti

    panjab ko dekho to ek aag ka dariya hai

    kashmir mein jannat ki taswir nahin milti

    is desh ke logon ne chaalis baras pahle

    ek KHwab to dekha tha ta'bir nahin milti

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 579)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now