aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

MORE BYSayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

    na apnā baaqī ye tan rahegā na tan meñ taab o tavāñ rahegī

    agar judā.ī meñ jaañ rahegī tumhīñ batāo kahāñ rahegī

    mizha ke tīroñ se chhān dil ko jo chhānñī ho nigah ko gahrī

    khiñchī huī dil se kab talak yuuñ tirī bhavoñ kamāñ rahegī

    ḳhudā ne muñh meñ zabān hai to shukr ye hai ki muñh se bolo

    ki kuchh dinoñ meñ na muñh rahegā na muñh meñ chaltī zabāñ rahegī

    bahār ke taḳht-o-tāj par bhī guloñ ko rote ham ne dekhā

    ki gaaḌ kar ḳhār-o-ḳhas jhanDā chaman meñ ik din ḳhizāñ rahegī

    dikhā.egā apnā jab vo qāmat machegī yaañ tarfa ik qayāmat

    na vā.izoñ meñ ye zikr hogā na masjidoñ meñ azaañ rahegī

    bajegā kūchoñ meñ yūñhī ghanTa azaañ yūñhī hogī masjidoñ meñ

    na jab talak un ko milegā tamām āh-o-fuġhāñ rahegī

    na deñge jab tak nigah ko dil ham qarār hāsil na hogā dil ko

    kabhī na ham saañs le sakeñge uḌī huī ik sināñ rahegī

    zabāñ pe 'shahbāz' haiñ jaarī mudām shīrīñ-laboñ bāteñ

    ḳhudā ne chāhā to nok-e-ḳhāma hamesha ratb-ul-lisāñ rahegī

    na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi

    agar judai mein jaan rahegi tumhin batao kahan rahegi

    mizha ke tiron se chhan dil ko jo chhanni ho nigah ko gahri

    khinchi hui dil se kab talak yun teri bhawon ki kaman rahegi

    KHuda ne munh mein zaban di hai to shukr ye hai ki munh se bolo

    ki kuchh dinon mein na munh rahega na munh mein chalti zaban rahegi

    bahaar ke taKHt-o-taj par bhi gulon ko rote hi hum ne dekha

    ki gaD kar KHar-o-KHas ka jhanDa chaman mein ek din KHizan rahegi

    dikhaega apna jab wo qamat machegi yan tarfa ek qayamat

    na waizon mein ye zikr hoga na masjidon mein azan rahegi

    bajega kuchon mein yunhi ghanTa azan yunhi hogi masjidon mein

    na jab talak un ko tu milega tamam aah-o-fughan rahegi

    na denge jab tak nigah ko dil hum qarar hasil na hoga dil ko

    kabhi na hum sans le sakenge uDi hui ek sinan rahegi

    zaban pe 'shahbaz' ki hain jari mudam shirin-labon ki baaten

    KHuda ne chaha to nok-e-KHama hamesha ratb-ul-lisan rahegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now