Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf

Adeeb Saharanpuri

nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf

Adeeb Saharanpuri

MORE BYAdeeb Saharanpuri

    nahīñ kisī tavajjoh ḳhud-āgahī taraf

    koī kisī taraf hai koī kisī taraf

    tumhārā jalva-e-ma.asūm dekh le ik baar

    ḳhayāl jis na jaatā ho bandagī taraf

    mizāj-e-shaiḳh-o-barhaman barhamī ma.alūm

    ki ab hayāt ruḳh hai ḳhud-āgahī taraf

    nazar vo log ujāle meñ ḳhud na aa.e kabhī

    bulā rahe haiñ jo duniyā ko raushnī taraf

    jatā rahe haiñ hamīñ ko na dekhnā apnā

    vo dekh dekh ke mahfil meñ har kisī taraf

    hazār baar irāda kiye baġhair bhī ham

    chale haiñ uTh ke to aksar ga.e usī taraf

    butoñ ne muñh na lagāyā 'adīb' ko shāyad

    jhuke hue haiñ jabhī to ye shaiḳh-jī taraf

    nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf

    koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf

    tumhaara jalwa-e-masum dekh le ek bar

    KHayal jis ka na jata ho bandagi ki taraf

    mizaj-e-shaiKH-o-barhaman ki barhami malum

    ki ab hayat ka ruKH hai KHud-agahi ki taraf

    nazar wo log ujale mein KHud na aae kabhi

    bula rahe hain jo duniya ko raushni ki taraf

    jata rahe hain hamin ko na dekhna apna

    wo dekh dekh ke mahfil mein har kisi ki taraf

    hazar bar irada kiye baghair bhi hum

    chale hain uTh ke to aksar gae usi ki taraf

    buton ne munh na lagaya 'adib' ko shayad

    jhuke hue hain jabhi to ye shaiKH-ji ki taraf

    Source:

    mahvar (Pg. 67)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now