Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi

Zafar Moradabadi

nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi

Zafar Moradabadi

MORE BYZafar Moradabadi

    nigāh-e-husn-e-mujassam adā ko chhūte

    gañvā.e hosh bhī us dilrubā ko chhūte

    tamām phuul mahakne lage haiñ khil khil kar

    chaman meñ shoḳhi-e-bād-e-sabā ko chhūte

    mashām-e-jāñ meñ ajab hai surūr aalam

    tasavvurāt meñ zulf-e-dotā ko chhūte

    nigāh-e-shauq sab uñgliyāñ sulag uTThīñ

    gulāb jism rañgīñ qabā ko chhūte

    nazar ko hech nazar aa.e sab hasīñ manzar

    bas ik shuā-e-ruḳh-e-jāñ-fazā ko chhūte

    jo āñsuoñ se huī bā-vazū akele meñ

    dar-e-qubūl khulā us duā ko chhūte

    nahā.īñ shiddat-e-ehsās ke ujāle meñ

    samā.ateñ mire soz-e-navā ko chhūte

    hisār-e-zabt jo TuuTā to aañkh bhar aa.ī

    dayār-e-ġhair meñ ik āshnā ko chhūte

    lahū meñ Duub ke kāñTe bane charāġh 'zafar'

    rah-e-vafā meñ ham āshufta-pā ko chhūte

    nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi

    ganwae hosh bhi us dilruba ko chhute hi

    tamam phul mahakne lage hain khil khil kar

    chaman mein shoKHi-e-baad-e-saba ko chhute hi

    masham-e-jaan mein ajab hai surur ka aalam

    tasawwuraat mein zulf-e-dota ko chhute hi

    nigah-e-shauq ki sab ungliyan sulag uTThin

    gulab jism ki rangin qaba ko chhute hi

    nazar ko hech nazar aae sab hasin manzar

    bas ek shua-e-ruKH-e-jaan-faza ko chhute hi

    jo aansuon se hui ba-wazu akele mein

    dar-e-qubul khula us dua ko chhute hi

    nahain shiddat-e-ehsas ke ujale mein

    samaaten mere soz-e-nawa ko chhute hi

    hisar-e-zabt jo TuTa to aankh bhar aai

    dayar-e-ghair mein ek aashna ko chhute hi

    lahu mein Dub ke kanTe bane charagh 'zafar'

    rah-e-wafa mein hum aashufta-pa ko chhute hi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now