Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nit-nae rang se karta raha dil ko pamal

Ahmad Hamdani

nit-nae rang se karta raha dil ko pamal

Ahmad Hamdani

MORE BYAhmad Hamdani

    nit-na.e rañg se kartā rahā dil ko pāmāl

    barbat-e-jāñ meñ samāyā huā ik husn-e-malāl

    umar kaaTī hai ghanī chhāñv meñ zulfoñ bahut

    aao ab rañj dahlīz pe sajde kuchh saal

    vo badan jis ujālā thā hamārī jannat

    dhyān meñ us ke hue aaj magar kaise niDhāl

    gorī bāheñ bhī hamā.il rahā kartī thiiñ kabhī

    aur ab sar bhī uThānā huā zaanū se muhāl

    mayassar thā to dil meñ the hazāroñ armāñ

    nahīñ hai to har ik samt ajab rañg-e-malāl

    har taraf apne añdherā añdherā lekin

    āsmāñ par ye sitāroñ chamaktā huā jaal

    nit-nae rang se karta raha dil ko pamal

    barbat-e-jaan mein samaya hua ek husn-e-malal

    umar kaTi hai ghani chhanw mein zulfon ki bahut

    aao ab ranj ki dahliz pe sajde kuchh sal

    wo badan jis ka ujala tha hamari jannat

    dhyan mein us ke hue aaj magar kaise niDhaal

    gori bahen bhi hamail raha karti thin kabhi

    aur ab sar bhi uThana hua zanu se muhaal

    tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman

    tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal

    har taraf apne andhera hi andhera lekin

    aasman par ye sitaron ka chamakta hua jal

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 115)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now