Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakhna KHam-e-gesu mein ya dil ko riha karna

Naseem Bharat Puri

rakhna KHam-e-gesu mein ya dil ko riha karna

Naseem Bharat Puri

MORE BYNaseem Bharat Puri

    rakhnā ḳham-e-gesū meñ dil ko rihā karnā

    kuchh kah to sahī zālim āḳhir tujhe kyā karnā

    kyā tum se ziyāda hai duniyā meñ hasīñ koī

    īmān se kah denā insāf zarā karnā

    sahnī bhī jafā un karnī bhī vafā un se

    un bhī ḳhushī karnī dil bhī kahā karnā

    bosa bhī mujhe denā hoñToñ meñ bhī kuchh kahnā

    jiine davā denā marne duā karnā

    tirchhī chitvan ne lākhoñ kiye bismil

    ai turk tirā nāvak kyā jaane ḳhatā karnā

    be-dād ab shikva bejā hai 'nasīm' un se

    thā tum ko mohabbat iz.hār kyā karnā

    rakhna KHam-e-gesu mein ya dil ko riha karna

    kuchh kah to sahi zalim aaKHir tujhe kya karna

    kya tum se ziyaada hai duniya mein hasin koi

    iman se kah dena insaf zara karna

    sahni bhi jafa un ki karni bhi wafa un se

    un ki bhi KHushi karni dil ka bhi kaha karna

    bosa bhi mujhe dena honTon mein bhi kuchh kahna

    jine ki dawa dena marne ki dua karna

    tirchhi chitwan ne lakhon hi kiye bismil

    ai turk tera nawak kya jaane KHata karna

    be-dad ka ab shikwa beja hai 'nasim' un se

    tha tum ko mohabbat ka izhaar hi kya karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now