Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saba se aati hai kuchh bu-e-ashna mujhko

Urfi Aafaqi

saba se aati hai kuchh bu-e-ashna mujhko

Urfi Aafaqi

MORE BYUrfi Aafaqi

    sabā se aatī hai kuchh bu-e-āshnā mujh ko

    bulā rahā hai mire ḳhuuñ zā.iqa mujh ko

    hanūz safha-e-hastī pe huuñ maiñ harf-e-ġhalat

    koī hanūz hai likh likh ke kāTtā mujh ko

    hazār chehra tilism-e-gurez-pā huuñ maiñ

    asiir kar na sakā koī aa.inā mujh ko

    chalā jā.ūñ maiñ parchhā.iyoñ ke des ko aur

    pukārtā rahe kirnoñ qāfila mujh ko

    yahī haiñ rat-jage jab se khulīñ mirī āñkheñ

    na thā vo ḳhvāb mirā ik azaab thā mujh ko

    chalā thā maiñ to samundar tishnagī le kar

    milā ye kaisā sarāboñ silsila mujh ko

    ye baat kis se kahūñ aah ik gul-e-ḳhūbī

    baḌe pyaar se kāñTā chubho gayā mujh ko

    saba se aati hai kuchh bu-e-ashna mujh ko

    bula raha hai mere KHun ka zaiqa mujh ko

    hanuz safha-e-hasti pe hun main harf-e-ghalat

    koi hanuz hai likh likh ke kaTta mujh ko

    hazar chehra tilism-e-gurez-pa hun main

    asir kar na saka koi aaina mujh ko

    chala hi jaun main parchhaiyon ke des ko aur

    pukarta rahe kirnon ka qafila mujh ko

    yahi hain rat-jage jab se khulin meri aankhen

    na tha wo KHwab mera ek azab tha mujh ko

    chala tha main to samundar ki tishnagi le kar

    mila ye kaisa sarabon ka silsila mujh ko

    ye baat kis se kahun aah ek gul-e-KHubi

    baDe hi pyar se kanTa chubho gaya mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now