sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi

Zafar Anwar

sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi

Zafar Anwar

MORE BYZafar Anwar

  sar meñ saudā bhī vahī kūcha-e-qātil bhī vahī

  raqs-e-bismil bhī vahī shor-e-salāsil bhī vahī

  baat jab hai ki har ik phuul ko yaksāñ samjho

  sab āmeza vahī aab vahī gil bhī vahī

  Duub jaatā hai jahāñ Dūbnā hotā hai jise

  varna pairāk ko dariyā vahī sāhil bhī vahī

  dekhnā chāho to zaḳhmoñ charāġhāñ har-samt

  mahfil-e-ġhair vahī anjuman-e-dil bhī vahī

  kaise mumkin hai ki qātil masīhā ho jaa.e

  us nīyat bhī vahī dāva-e-bātil bhī vahī

  tum samajhte nahīñ 'anvar' to ḳhatā kis hai

  raah hai roz-e-azal se vahī manzil bhī vahī

  sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi

  raqs-e-bismil bhi wahi shor-e-salasil bhi wahi

  baat jab hai ki har ek phul ko yaksan samjho

  sab ka aameza wahi aab wahi gil bhi wahi

  Dub jata hai jahan Dubna hota hai jise

  warna pairak ko dariya wahi sahil bhi wahi

  dekhna chaho to zaKHmon ka charaghan har-samt

  mahfil-e-ghair wahi anjuman-e-dil bhi wahi

  kaise mumkin hai ki qatil hi masiha ho jae

  us ki niyat bhi wahi dawa-e-baatil bhi wahi

  tum samajhte nahin 'anwar' to KHata kis ki hai

  rah hai roz-e-azal se wahi manzil bhi wahi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY