Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaKHon par jab patte hilne lagte hain

Saba Nusrat

shaKHon par jab patte hilne lagte hain

Saba Nusrat

MORE BYSaba Nusrat

    shāḳhoñ par jab patte hilne lagte haiñ

    aañsū mere dil pe girne lagte haiñ

    tujh se duurī aur qayāmat lagtī hai

    aapas meñ do vaqt jo milne lagte haiñ

    din to jaise-taise kaT jaatā hai

    raat ko uTh uTh taare ginñe lagte haiñ

    ek tabassum dekh ke tere hoñToñ par

    phuul ḳhizāñ rut meñ khilne lagte haiñ

    hotā hai shānoñ pe mahsūs us haath

    mausam jab bhī rañg badalne lagte haiñ

    us jab ho jaa.e 'nusrat' chashm-e-karam

    chaak garebānoñ ke silne lagte haiñ

    shaKHon par jab patte hilne lagte hain

    aansu mere dil pe girne lagte hain

    tujh se duri aur qayamat lagti hai

    aapas mein do waqt jo milne lagte hain

    din to jaise-taise kaT hi jata hai

    raat ko uTh uTh tare ginne lagte hain

    ek tabassum dekh ke tere honTon par

    phul KHizan ki rut mein khilne lagte hain

    hota hai shanon pe mahsus us ka hath

    mausam jab bhi rang badalne lagte hain

    us ki jab ho jae 'nusrat' chashm-e-karam

    chaak garebanon ke silne lagte hain

    Source:

    Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 108)

    • Author: Dr. Jawaz Jafri
      • Edition: 2011
      • Publisher: Kitab Saray, Lahore
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now