Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun

Hameed Naseem

tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun

Hameed Naseem

MORE BYHameed Naseem

    tarab se ho aayā huuñ aur yaas tah tak Duub chukā huuñ

    duur huuñ apnī khoj se ab tak kab se ḳhud ko DhūñD rahā huuñ

    maiñ huuñ ye ghaTtā phailtā saaya maiñ ye kaise ho saktā huuñ

    vaqt ke sayyāl ā.īne meñ kaun hai kis ko dekh rahā huuñ

    dil ke kisī pinhāñ goshe meñ an-jānī koī haar chhipī hai

    jaan tapāk haiñ terī bāteñ maiñ be-bāt bhaTak jaatā huuñ

    dekhte dekhte terā chehra aur ik chehra ban jaatā hai

    ik mānūs malūl chehra kab dekhā thā bhuul gayā huuñ

    ik lamhe ne mujh se kahā thā azal hai abad hai

    lamha biitā baat ga.ī is ḳhvāb se kab chauñk uThā huuñ

    dīda-e-vā ke damakte ḳhvābo mere saath chaloge kab tak

    tum ki vafūr-e-rañg-o-navā ho maiñ ki shikast-e-dil sadā huuñ

    ḳhaak uḌtī hai lab-bosī ko taare aañkh ko chhū lete haiñ

    qurb ḳhvāhāñ mujh se zamāna maiñ tanhā huuñ maiñ tanhā huuñ

    tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun

    dur hun apni khoj se ab tak kab se KHud ko DhunD raha hun

    main hun ye ghaTta phailta saya main ye kaise ho sakta hun

    waqt ke sayyal aaine mein kaun hai kis ko dekh raha hun

    dil ke kisi pinhan goshe mein an-jaani koi haar chhipi hai

    jaan tapak hain teri baaten main be-baat bhaTak jata hun

    dekhte dekhte tera chehra aur ek chehra ban jata hai

    ek manus malul sa chehra kab dekha tha bhul gaya hun

    ek lamhe ne mujh se kaha tha tu hi azal hai tu hi abad hai

    lamha bita baat gai is KHwab se kab ka chaunk uTha hun

    dida-e-wa ke damakte KHwabo mere sath chaloge kab tak

    tum ki wafur-e-rang-o-nawa ho main ki shikast-e-dil ki sada hun

    KHak uDti hai lab-bosi ko tare aankh ko chhu lete hain

    qurb ka KHwahan mujh se zamana main tanha hun main tanha hun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Hameed Naseem

    Hameed Naseem

    Source:

    Roshnai (Pg. 156)

    • Author: Ahmad Zainuddin
      • Edition: 2008
      • Publisher: Ahmad Brothers Printers Karachi
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now