Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha jo ek kafir musalman ho gaya

Mansoor Khushtar

tha jo ek kafir musalman ho gaya

Mansoor Khushtar

MORE BYMansoor Khushtar

    thā jo ik kāfir musalmāñ ho gayā

    pal meñ vīrāna gulistāñ ho gayā

    chhup ke thī kal jahāñ pe shaiḳh ne

    us jagah qaa.em ḳhumistāñ ho gayā

    chāra-gar ab nahīñ hājat mujhe

    dard ḳhud baḌh ke darmāñ ho gayā

    mujh pe koī ho gayā hai mehrbāñ

    qatl ab apne sāmāñ ho gayā

    hai taġhāful tere faiz kuchh

    rafta rafta maiñ ġhazal-ḳhvāñ ho gayā

    mujh ko is mahfil meñ jaanā na thā

    dil fidā-e-rū-e-ḳhūbāñ ho gayā

    bevafā se ishq anjām hai

    ye jo 'ḳhushtar' ḳhūn-e-armāñ ho gayā

    tha jo ek kafir musalman ho gaya

    pal mein virana gulistan ho gaya

    chhup ke pi thi kal jahan pe shaiKH ne

    us jagah qaem KHumistan ho gaya

    chaara-gar ki ab nahin hajat mujhe

    dard hi KHud baDh ke darman ho gaya

    mujh pe koi ho gaya hai mehrban

    qatl ka ab apne saman ho gaya

    hai taghaful hi ka tere faiz kuchh

    rafta rafta main ghazal-KHwan ho gaya

    mujh ko is mahfil mein jaana hi na tha

    dil fida-e-ru-e-KHuban ho gaya

    bewafa se ishq ka anjam hai

    ye jo 'KHushtar' KHun-e-arman ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now