Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tirgi mein subh ki tanwir ban jaenge hum

Azm Shakri

tirgi mein subh ki tanwir ban jaenge hum

Azm Shakri

MORE BYAzm Shakri

    tīrgī meñ sub.h tanvīr ban jā.eñge ham

    ḳhvāb tum dekhoge aur ta.abīr ban jā.eñge ham

    ab ke ye sochā hai gar āzād tum ne kar diyā

    ḳhud apne paañv zanjīr ban jā.eñge ham

    āñsuoñ se likh rahe haiñ bebasī dāstāñ

    lag rahā hai dard tasvīr ban jā.eñge ham

    likh na paa.e jo kisī nīm-bāz ā.ankhoñ raaz

    vo ye va.ada kar rahe haiñ 'mīr' ban jā.eñge ham

    gar yuuñ baḌhtā rahā din raat shuġhl-e-mai-kashī

    ek din is mai-kade ke piir ban jā.eñge ham

    us ne bhī auroñ ke jaisā kiyā ham se sulūk

    jo ye kahtā thā tirī taqdīr ban jā.eñge ham

    tirgi mein subh ki tanwir ban jaenge hum

    KHwab tum dekhoge aur tabir ban jaenge hum

    ab ke ye socha hai gar aazad tum ne kar diya

    KHud hi apne panw ki zanjir ban jaenge hum

    aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan

    lag raha hai dard ki taswir ban jaenge hum

    likh na pae jo kisi ki nim-baz aaankhon ka raaz

    wo ye wada kar rahe hain 'mir' ban jaenge hum

    gar yun hi baDhta raha din raat shughl-e-mai-kashi

    ek din is mai-kade ke pir ban jaenge hum

    us ne bhi auron ke jaisa hi kiya hum se suluk

    jo ye kahta tha teri taqdir ban jaenge hum

    Source:

    Mehrab-e-ishq (Pg. 23)

    • Author: Azm Shakrii
      • Publisher: Lamhe Lamhe Publications
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now