Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di

Asghar Gondvi

tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di

Asghar Gondvi

MORE BYAsghar Gondvi

    tire jalvoñ ke aage himmat-e-sharh-o-bayāñ rakh

    zabān-e-be-nigah rakh nigāh-e-be-zabāñ rakh

    miTī jaatī thī bulbul jalva-e-gul-hā-e-rañgīñ par

    chhupā kar kis ne in pardoñ meñ barq-e-āshiyāñ rakh

    niyāz-e-ishq ko samjhā hai kyā ai vā.iz-e-nādān

    hazāroñ ban ga.e ka.abe jabīñ maiñ ne jahāñ rakh

    qafas yaad meñ ye iztirāb-e-dil ma.āz-allāh

    ki maiñ ne toḌ kar ek ek shāḳh-e-āshiyāñ rakh

    karishme husn ke pinhāñ the shāyad raqs-e-bismil meñ

    bahut kuchh soch kar zālim ne teġh-e-ḳhūñ-fishāñ rakh

    ilāhī kyā kiyā ne ki aalam meñ talātum hai

    ġhazab ek musht-e-ḳhāk zer-e-āsmāñ rakh

    tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di

    zaban-e-be-nigah rakh di nigah-e-be-zaban rakh di

    miTi jati thi bulbul jalwa-e-gul-ha-e-rangin par

    chhupa kar kis ne in pardon mein barq-e-ashiyan rakh di

    niyaz-e-ishq ko samjha hai kya ai waiz-e-nadan

    hazaron ban gae kabe jabin main ne jahan rakh di

    qafas ki yaad mein ye iztirab-e-dil maaz-allah

    ki main ne toD kar ek ek shaKH-e-ashiyan rakh di

    karishme husn ke pinhan the shayad raqs-e-bismil mein

    bahut kuchh soch kar zalim ne tegh-e-KHun-fishan rakh di

    ilahi kya kiya tu ne ki aalam mein talatum hai

    ghazab ki ek musht-e-KHak zer-e-asman rakh di

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now