Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhse bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun

Ahmad Kamal Parwazi

tujhse bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun

Ahmad Kamal Parwazi

MORE BYAhmad Kamal Parwazi

    tujh se bichhḌūñ to tirī zaat hissa ho jā.ūñ

    jis se martā huuñ usī zahr se achchhā ho jā.ūñ

    tum mire saath ho ye sach to nahīñ hai lekin

    maiñ agar jhuuT na bolūñ to akelā ho jā.ūñ

    maiñ tirī qaid ko taslīm to kartā huuñ magar

    ye mire bas meñ nahīñ hai ki parinda ho jā.ūñ

    aadmī ban ke bhaTakne meñ mazā aatā hai

    maiñ ne sochā nahīñ thā ki farishta ho jā.ūñ

    vo to andar udāsī ne bachāyā varna

    un marzī to yahī thī ki shagufta ho jā.ūñ

    tujh se bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun

    jis se marta hun usi zahr se achchha ho jaun

    tum mere sath ho ye sach to nahin hai lekin

    main agar jhuT na bolun to akela ho jaun

    main teri qaid ko taslim to karta hun magar

    ye mere bas mein nahin hai ki parinda ho jaun

    aadmi ban ke bhaTakne mein maza aata hai

    main ne socha hi nahin tha ki farishta ho jaun

    wo to andar ki udasi ne bachaya warna

    un ki marzi to yahi thi ki shagufta ho jaun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tujhse bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun Nomaan Shauque

    Source:

    Chandi Ka waraq (Pg. 148)

    • Author: Ahmad Kamal Parvazi
      • Edition: 2009
      • Publisher: Surkhwab Publication
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now