aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum bhaTak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega

Asim Wasti

tum bhaTak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    tum bhaTak jaao to kuchh zauq-e-safar aa jā.egā

    muḳhtalif rastoñ pe chalne hunar aa jā.egā

    maiñ ḳhalā meñ dekhtā rahtā huuñ is ummīd par

    ek din mujh ko achānak nazar aa jā.egā

    tez itnā agar chalnā hai tanhā jaao tum

    baat puurī bhī na hogī aur ghar aa jā.egā

    ye makāñ girtā huā jab chhoḌ jā.eñge makīñ

    ik parinda baiThne dīvār par aa jā.egā

    koī merī muḳhbirī kartā rahegā aur phir

    jurm taftīsh karne be-ḳhabar aa jā.egā

    ho gayā miTTī agar merā pasīna suukh kar

    dekhnā mere daraḳhtoñ par samar aa jā.egā

    bandagī meñ ishq dīvāngī paidā karo

    ek dam 'āsim' duāoñ meñ asar aa jā.egā

    tum bhaTak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega

    muKHtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega

    main KHala mein dekhta rahta hun is ummid par

    ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega

    tez itna hi agar chalna hai tanha jao tum

    baat puri bhi na hogi aur ghar aa jaega

    ye makan girta hua jab chhoD jaenge makin

    ek parinda baiThne diwar par aa jaega

    koi meri muKHbiri karta rahega aur phir

    jurm ki taftish karne be-KHabar aa jaega

    ho gaya miTTi agar mera pasina sukh kar

    dekhna mere daraKHton par samar aa jaega

    bandagi mein ishq si diwangi paida karo

    ek dam 'asim' duaon mein asar aa jaega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tum bhaTak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now