tumhein meri mohabbat ka jo andaza nahin hota
tumheñ merī mohabbat kā jo andāza nahīñ hotā
ye hotā bhī nahīñ jab tak koī rusvā nahīñ hotā
tirī yādoñ ke sahrā meñ sanam kyā kyā nahīñ hotā
jahāñ ho tishnagī kā ġham vahāñ dariyā nahīñ hotā
tirī āñkhoñ kī nisbat se yahāñ zāhid bhī piite haiñ
hamāre shahr meñ varna ye mai-ḳhāna nahīñ hotā
musalsal tere fatvoñ kā hameñ kuchh Dar nahīñ vā'iz
ki 'āshiq aise hamloñ se kabhī Dartā nahīñ hotā
ġhizā mahñgī davā mahñgī zamīñ mahñgī kafan mahñgā
yahāñ jiinā nahīñ hotā yahāñ marnā nahīñ hotā
kabhī jo 'zain' bebas ho na phir māyūs tum honā
samay tabdīl hotā hai sadā ik sā nahīñ hotā
tumhein meri mohabbat ka jo andaza nahin hota
ye hota bhi nahin jab tak koi ruswa nahin hota
teri yaadon ke sahra mein sanam kya kya nahin hota
jahan ho tishnagi ka gham wahan dariya nahin hota
teri aankhon ki nisbat se yahan zahid bhi pite hain
hamare shahr mein warna ye mai-KHana nahin hota
musalsal tere fatwon ka hamein kuchh Dar nahin wa'iz
ki 'ashiq aise hamlon se kabhi Darta nahin hota
ghiza mahngi dawa mahngi zamin mahngi kafan mahnga
yahan jina nahin hota yahan marna nahin hota
kabhi jo 'zain' bebas ho na phir mayus tum hona
samay tabdil hota hai sada ek sa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.