Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ummid ka bab likh raha hun

Hasan Abidi

ummid ka bab likh raha hun

Hasan Abidi

MORE BYHasan Abidi

    ummīd baab likh rahā huuñ

    patthar pe gulāb likh rahā huuñ

    vo shahr to ḳhvāb ho chukā hai

    jis shahr ke ḳhvāb likh rahā huuñ

    ashkoñ meñ piro ke us yādeñ

    paanī pe kitāb likh rahā huuñ

    vo chehrā to ā.īna-numā hai

    maiñ jis ko hijāb likh rahā huuñ

    sahrā meñ vafūr-e-tishnagī se

    saa.e ko sahāb likh rahā huuñ

    lamhoñ ke savāl se gurezāñ

    sadiyoñ javāb likh rahā huuñ

    sab us ke karam dāstāneñ

    maiñ zer-e-itāb likh rahā huuñ

    ummid ka bab likh raha hun

    patthar pe gulab likh raha hun

    wo shahr to KHwab ho chuka hai

    jis shahr ke KHwab likh raha hun

    ashkon mein piro ke us ki yaaden

    pani pe kitab likh raha hun

    wo chehra to aaina-numa hai

    main jis ko hijab likh raha hun

    sahra mein wafur-e-tishnagi se

    sae ko sahab likh raha hun

    lamhon ke sawal se gurezan

    sadiyon ka jawab likh raha hun

    sab us ke karam ki dastanen

    main zer-e-itab likh raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now