use bechain kar jaunga main bhi
use bechain kar jā.ūñgā maiñ bhī
ḳhamoshī se guzar jā.ūñgā maiñ bhī
mujhe chhūne kī ḳhvāhish kaun kartā hai
ki pal bhar meñ bikhar jā.ūñgā maiñ bhī
bahut pachhtā.egā vo bichhaḌ kar
ḳhudā jaane kidhar jā.ūñgā maiñ bhī
zarā badlūñgā is be-manzarī ko
phir us ke baad mar jā.ūñgā maiñ bhī
kisī dīvār kā ḳhāmosh saaya
pukāre to Thahar jā.ūñgā maiñ bhī
pata us kā tumheñ bhī kuchh nahīñ hai
yahāñ se be-ḳhabar jā.ūñgā maiñ bhī
use bechain kar jaunga main bhi
KHamoshi se guzar jaunga main bhi
mujhe chhune ki KHwahish kaun karta hai
ki pal bhar mein bikhar jaunga main bhi
bahut pachhtaega wo bichhaD kar
KHuda jaane kidhar jaunga main bhi
zara badlunga is be-manzari ko
phir us ke baad mar jaunga main bhi
kisi diwar ka KHamosh saya
pukare to Thahar jaunga main bhi
pata us ka tumhein bhi kuchh nahin hai
yahan se be-KHabar jaunga main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.