Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha

Zaheer Siddiqui

wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha

Zaheer Siddiqui

MORE BYZaheer Siddiqui

    vajūd us kabhī bhī na luqma-e-tar thā

    vo har nivāle meñ dāñtoñ ke biich kankar thā

    alag alag the dil o zehn bad-nasīboñ ke

    'ajīb baat hai har dhaḌ pe ġhair sar thā

    na jaane ham se gila kyuuñ hai tishna-kāmoñ ko

    hamāre haath meñ mai thī na daur-e-sāġhar thā

    lahūluhān kar detā pā-e-laġhzish ko

    subūt detā ki vo rāste patthar thā

    bahut ḳhuub thā vo indimāl se pahle

    ki zaḳhm-e-tāza to dāġh-e-siyah se behtar thā

    qarīb ḳhatm thā gulshan kārobār 'zahīr'

    rag-e-gulū ko magar intizār-e-ḳhanjar thā

    wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha

    wo har niwale mein danton ke bich kankar tha

    alag alag the dil o zehn bad-nasibon ke

    'ajib baat hai har dhaD pe ghair ka sar tha

    na jaane hum se gila kyun hai tishna-kaamon ko

    hamare hath mein mai thi na daur-e-saghar tha

    lahuluhan hi kar deta pa-e-laghzish ko

    subut deta ki wo raste ka patthar tha

    bahut hi KHub tha wo indimal se pahle

    ki zaKHm-e-taza to dagh-e-siyah se behtar tha

    qarib KHatm tha gulshan ka karobar 'zahir'

    rag-e-gulu ko magar intizar-e-KHanjar tha

    Source:

    Roshan Waraq Waraq (Pg. 47)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now