Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ab tijarati pahlu nikal leta hai

Ahmad Kamal Parwazi

wo ab tijarati pahlu nikal leta hai

Ahmad Kamal Parwazi

MORE BYAhmad Kamal Parwazi

    vo ab tijāratī pahlū nikāl letā hai

    maiñ kuchh kahūñ to tarāzū nikāl letā hai

    vo phuul toḌe hameñ koī e'tirāz nahīñ

    magar vo toḌ ke ḳhushbū nikāl letā hai

    maiñ is liye bhī tire fan qadr kartā huuñ

    jhuuT bol ke aañsū nikāl letā hai

    añdhere chiir ke jugnū nikālne hunar

    bahut kaThin hai magar nikāl letā hai

    vo bevafā.ī iz.hār yuuñ bhī kartā hai

    parinde maar ke baazū nikāl letā hai

    wo ab tijarati pahlu nikal leta hai

    main kuchh kahun to taraazu nikal leta hai

    wo phul toDe hamein koi e'tiraaz nahin

    magar wo toD ke KHushbu nikal leta hai

    main is liye bhi tere fan ki qadr karta hun

    tu jhuT bol ke aansu nikal leta hai

    andhere chir ke jugnu nikalne ka hunar

    bahut kaThin hai magar tu nikal leta hai

    wo bewafai ka izhaar yun bhi karta hai

    parinde mar ke bazu nikal leta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wo ab tijarati pahlu nikal leta hai Nomaan Shauque

    Source:

    Chandi Ka waraq (Pg. 81)

    • Author: Ahmad Kamal Parvazi
      • Edition: 2009
      • Publisher: Surkhwab Publication
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now