Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin ki dhup mein saya bhi kuchh guman ka hai

Saleem Siddiqui

yaqin ki dhup mein saya bhi kuchh guman ka hai

Saleem Siddiqui

MORE BYSaleem Siddiqui

    yaqīñ dhuup meñ saaya bhī kuchh gumān hai

    yahī to vaqt musāfir ke imtihān hai

    palaT rahā hai zamāna sadā-e-haq taraf

    jahān-e-fikr meñ charchā mirī azaan hai

    usī ke ḳhauf se larzāñ hai dushmanoñ hujūm

    vo ek tiir jo TuuTī huī kamān hai

    yahī kahīñ pe vafāoñ qabr-gāh bhī thī

    yahī kahīñ se to rasta tire makān hai

    ik ek harf rakhnī hai aabrū mujh ko

    savāl dil nahīñ hai mirī zabān hai

    jo ek chhoTā dil hai 'salīm' siine meñ

    vo āftāb mohabbat ke āsmān hai

    yaqin ki dhup mein saya bhi kuchh guman ka hai

    yahi to waqt musafir ke imtihan ka hai

    palaT raha hai zamana sada-e-haq ki taraf

    jahan-e-fikr mein charcha meri azan ka hai

    usi ke KHauf se larzan hai dushmanon ka hujum

    wo ek tir jo TuTi hui kaman ka hai

    yahi kahin pe wafaon ki qabr-gah bhi thi

    yahi kahin se to rasta tere makan ka hai

    ek ek harf ki rakhni hai aabru mujh ko

    sawal dil ka nahin hai meri zaban ka hai

    jo ek chhoTa sa dil hai 'salim' sine mein

    wo aaftab mohabbat ke aasman ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now