ye soch banñā hai kyā tujh ko kyā banā huā hai
ḳhudā kā kyā hai ki vo to ḳhudā banā huā hai
dabā sakā na sadā us kī terī bazm kā shor
ḳhamosh rah ke bhī koī sadā banā huā hai
maiñ chāhtā huuñ masīhā ke dil meñ bhī rakh duuñ
vo dard mere liye jo davā banā huā hai
ye kār-e-ishq hai rakh apne inhimāk se kaam
na dekh bigḌā huā kyā hai kyā banā huā hai
basī huī hai mire ishq se tirī ḳhalvat
tirā jamāl mirā aa.inā banā huā hai
tumhārī bazm meñ hairat se hai koī tasvīr
koī adab se hai sākit diyā banā huā hai
jo chāhiye hai hameñ vo hameñ mayassar hai
qadam uThe hue haiñ rāstā banā huā hai
ye soch banna hai kya tujh ko kya bana hua hai
KHuda ka kya hai ki wo to KHuda bana hua hai
daba saka na sada us ki teri bazm ka shor
KHamosh rah ke bhi koi sada bana hua hai
main chahta hun masiha ke dil mein bhi rakh dun
wo dard mere liye jo dawa bana hua hai
ye kar-e-ishq hai rakh apne inhimak se kaam
na dekh bigDa hua kya hai kya bana hua hai
basi hui hai mere ishq se teri KHalwat
tera jamal mera aaina bana hua hai
tumhaari bazm mein hairat se hai koi taswir
koi adab se hai sakit diya bana hua hai
jo chahiye hai hamein wo hamein mayassar hai
qadam uThe hue hain rasta bana hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.