yun barmala ye ashk bahana fuzul hai
yuuñ barmalā ye ashk bahānā fuzūl hai
zaḳhm-e-jigar kisī ko dikhānā fuzūl hai
ho dil meñ zahr haath milānā fuzūl hai
āñdhī kī zad meñ diip jalānā fuzūl hai
be-rahm daf'atan jo gulistāñ jalā ga.e
un se vafā kī aas lagānā fuzūl hai
jo dasht ke ġhubār meñ gum-sum rahe unheñ
qissa samundaroñ kā sunānā fuzūl hai
darvesh ne mu'āmla chehre se paḌh liyā
ye baat kā ghumānā chhupānā fuzūl hai
kuchh jeb garm ho tabhī jā ke manā.iye
un ko mohabbatoñ se manānā fuzūl hai
ye aaj kis ko maañg rahe haiñ du'āoñ meñ
kal kah rahe the dil kā lagānā fuzūl hai
jis par khulā nahīñ hai mire dil kā haal 'zain'
us ke liye lahū kā jalānā fuzūl hai
yun barmala ye ashk bahana fuzul hai
zaKHm-e-jigar kisi ko dikhana fuzul hai
ho dil mein zahr hath milana fuzul hai
aandhi ki zad mein dip jalana fuzul hai
be-rahm daf'atan jo gulistan jala gae
un se wafa ki aas lagana fuzul hai
jo dasht ke ghubar mein gum-sum rahe unhen
qissa samundaron ka sunana fuzul hai
darwesh ne mu'amla chehre se paDh liya
ye baat ka ghumana chhupana fuzul hai
kuchh jeb garm ho tabhi ja ke manaiye
un ko mohabbaton se manana fuzul hai
ye aaj kis ko mang rahe hain du'aon mein
kal kah rahe the dil ka lagana fuzul hai
jis par khula nahin hai mere dil ka haal 'zain'
us ke liye lahu ka jalana fuzul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.