Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to sau tarah ki mushkil suKHani aae hamein

Abdul Ahad Saaz

yun to sau tarah ki mushkil suKHani aae hamein

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    yuuñ to sau tarah mushkil suḳhanī aa.e hameñ

    par vo ik baat jo kuhnī na abhī aa.e hameñ

    kaise toḌeñ use jo TuuT ke miltī ho gale

    laakh chāhā ki rivāyat-shikanī aa.e hameñ

    har qadam is mutabādil se bharī duniyā meñ

    raas aa.e to bas ik terī kamī aa.e hameñ

    pyaas bujh jaa.e zamīñ sabz ho manzar dhul jaa.e

    kaam kyā kyā na in āñkhoñ tirī aa.e hameñ

    dev-e-alfāz ke changul se chhuḌāne ke liye

    āḳhir-e-shab koī ma.anā parī aa.e hameñ

    phir hameñ qatl kare shauq se ban paa.e agar

    ik ġhazal bhar to kisī shab koī aa.e hameñ

    'sāz' ye shahr-navardī meñ bikhartā huā din

    simTe ik moḌ to yaad us galī aa.e hameñ

    yun to sau tarah ki mushkil suKHani aae hamein

    par wo ek baat jo kuhni na abhi aae hamein

    kaise toDen use jo TuT ke milti ho gale

    lakh chaha ki riwayat-shikani aae hamein

    har qadam is mutabaadil se bhari duniya mein

    ras aae to bas ek teri kami aae hamein

    pyas bujh jae zamin sabz ho manzar dhul jae

    kaam kya kya na in aankhon ki teri aae hamein

    dew-e-alfaz ke changul se chhuDane ke liye

    aaKHir-e-shab koi mana ki pari aae hamein

    phir hamein qatl kare shauq se ban pae agar

    ek ghazal bhar to kisi shab koi ji aae hamein

    'saz' ye shahr-nawardi mein bikharta hua din

    simTe ek moD to yaad us ki gali aae hamein

    Source:

    sargoshiyan zamanon ki (Pg. 92)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now