Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yusuf-e-husn ka husn aap KHaridar raha

Anwar Dehlvi

yusuf-e-husn ka husn aap KHaridar raha

Anwar Dehlvi

MORE BYAnwar Dehlvi

    yūsuf-e-husn husn aap ḳharīdār rahā

    pahle bazār-e-azal misr bāzār rahā

    bismil-e-nāz rahā Kushta-e-raftār rahā

    zindagī bhar mujhe marne se sarokār rahā

    jurm-e-nā-karda uqūbat sazā-vār rahā

    shaiḳh sarshār-e-siyah mastī-e-pindār rahā

    parda-e-chashm jo pās-e-adab-e-yār rahā

    maiñ rahā sāmne bhī pas-e-dīvār rahā

    dil ye shādī-e-jarāhat se huā bālīda

    ki tirā tiir yahāñ tā-lab-e-sūfār rahā

    gir ke nazroñ se tirī phir na zamīñ se uTThā

    maiñ subuk bhī jo huā bhī girāñ-bār rahā

    aaj aaj hai fardā-e-qayāmat maujūd

    do ghaḌī aur jo hañgāma-e-raftār rahā

    tuur barq-e-tajallī se huā ḳhākistar

    aur maiñ soḳhta-e-hasrat-e-dīdār rahā

    rahm us sāda-dilī par ki mirā zaḳhm-e-jigar

    ġhair se chāra-o-darmāñ talabgār rahā

    maiñ vo ik mujrim-e-ta.azīr talab huuñ ki sadā

    badle dushman ke uqūbat sazā-vār rahā

    bas-ki dil meñ rahī ik kashmakash yās-o-ummīd

    dard jo dil meñ rahā jaan se bezār rahā

    ab vo fardā bhī nahīñ roz taskīñ ke liye

    ab faqat hashr par va.ada-e-dīdār rahā

    bhī shaiḳh ki saaqī ināyat hai sharāb

    maiñ tire badle qayāmat meñ gunahgār rahā

    ḳhush huuñ chup rahne se un ke dam-e-paiġhām-e-visāl

    ki ye inkār to kuchh shāmil-e-iqrār rahā

    sar pe phirtā rahā aur na girā mujh pe kabhī

    āsmāñ ban ke tirā sāya-e-dīvār rahā

    garche kyā kuchh the magar aap ko kuchh bhī na ginā

    ishq-e-barham zan-e-kāshāna-e-pindār rahā

    tum ne yuuñ ghar meñ to kyā kuchh na uThā.e fitne

    ik qayāmat uThānā sar-e-bāzār rahā

    haa.e vo chashm ki dekhe tujhe sargarm-e-adā

    vaa.e vo dil ki tirā mahram-e-asrār rahā

    maiñ rahā bhī to rahā ḳhaar sūrat ki sadā

    terī nazroñ meñ subuk-dil pe tire yaar rahā

    chashm par nashsha-e-sāqī jo rahī aks-fagan

    chuur mastī se har ik sāġhar-e-sarshār rahā

    huuñ meñ vo jins ki huuñ raunaq-e-bāzār-e-kasād

    huuñ vo saudā ki ḳharīdār bhī bezār rahā

    kuchh ḳhabar hotī to maiñ apnī ḳhabar kyuuñ rakhtā

    ye bhī ik be-ḳhabarī thī ki ḳhabar-dār rahā

    thak ke baiThe ho dar-e-sauma.a par kyā 'anvar'

    do-qadam aur ki ye ḳhāna-e-ḳhummār rahā

    yusuf-e-husn ka husn aap KHaridar raha

    pahle bazar-e-azal misr ka bazar raha

    bismil-e-naz raha Kushta-e-raftar raha

    zindagi bhar mujhe marne se sarokar raha

    jurm-e-na-karda uqubat ka saza-war raha

    shaiKH sarshaar-e-siyah masti-e-pindar raha

    parda-e-chashm jo pas-e-adab-e-yar raha

    main raha samne tu bhi pas-e-diwar raha

    dil ye shadi-e-jarahat se hua baalida

    ki tera tir yahan ta-lab-e-sufar raha

    gir ke nazron se teri phir na zamin se uTTha

    main subuk bhi jo hua tu bhi giran-bar raha

    aaj hi aaj hai farda-e-qayamat maujud

    do ghaDi aur jo hangama-e-raftar raha

    tur tu barq-e-tajalli se hua KHakistar

    aur main soKHta-e-hasrat-e-didar raha

    rahm us sada-dili par ki mera zaKHm-e-jigar

    ghair se chaara-o-darman ka talabgar raha

    main wo ek mujrim-e-tazir talab hun ki sada

    badle dushman ke uqubat ka saza-war raha

    bas-ki dil mein rahi ek kashmakash yas-o-ummid

    dard jo dil mein raha jaan se bezar raha

    ab wo farda bhi nahin roz ki taskin ke liye

    ab faqat hashr hi par wada-e-didar raha

    pi bhi ja shaiKH ki saqi ki inayat hai sharab

    main tere badle qayamat mein gunahgar raha

    KHush hun chup rahne se un ke dam-e-paigham-e-visal

    ki ye inkar to kuchh shamil-e-iqrar raha

    sar pe phirta hi raha aur na gira mujh pe kabhi

    aasman ban ke tera saya-e-diwar raha

    garche kya kuchh the magar aap ko kuchh bhi na gina

    ishq-e-barham zan-e-kashana-e-pindar raha

    tum ne yun ghar mein to kya kuchh na uThae fitne

    ek qayamat ka uThana sar-e-bazar raha

    hae wo chashm ki dekhe tujhe sargarm-e-ada

    wae wo dil ki tera mahram-e-asrar raha

    main raha bhi to raha KHar ki surat ki sada

    teri nazron mein subuk-dil pe tere yar raha

    chashm par nashsha-e-saqi jo rahi aks-fagan

    chur masti se har ek saghar-e-sarshaar raha

    hun mein wo jins ki hun raunaq-e-bazar-e-kasad

    hun wo sauda ki KHaridar bhi bezar raha

    kuchh KHabar hoti to main apni KHabar kyun rakhta

    ye bhi ek be-KHabari thi ki KHabar-dar raha

    thak ke baiThe ho dar-e-sauma par kya 'anwar'

    do-qadam aur ki ye KHana-e-KHummar raha

    Source:

    Deewan-e-Anwar Nazm-e-Dilfroz (Pg. e-16 p-15)

    • Author: Anwar Dehlvi
      • Edition: 1899
      • Publisher: Mumtaz Ali
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now