Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa.e ho merii zindagii me.n tum bahaar ban ke

Sameer Anjan

MORE BYSameer Anjan

    Interesting Fact

    Film: Raja Hindustani Year: 1996 Singer: Udit Narayan, Alka Yagnik Music: Nadeem-Shravan Actor: Aamir Khan,Karisma Kapoor

    aa.e ho merii zindagii me.n tum bahaar ban ke

    mire dil me.n yuu.n hii rahnaa tum pyaar pyaar ban ke

    aa.nkho.n me.n tum base ho sapne hazaar ban ke

    aa.e ho merii zindagii me.n

    ghuu.nghaT me.n har kalii thii rango.n me.n na Dhalii thii

    na shoKH thii.n havaa.e.n na KHushbuu manchalii thii

    aayaa hai ab ke mausam kaisaa KHumaar ban ke

    man kaa nagar thaa KHaalii suukhii pa.Dii thii Daalii

    holii ke rang phiike be-nuur thii divaalii

    rim-jhim baras pa.De ho tum to phuvaar ban ke

    mire saathii mere saajan mire saath yuu.n hii chalnaa

    badlegaa rang zamaana par tum nahii.n badalnaa

    mirii maa.ng yuu.n hii bharnaa taare hazaar ban ke

    mire dil me.n yuu.n hii rahnaa tum pyaar pyaar bin ke

    aa.e ho merii zindagii me.n

    gar mai.n jo ruuTh jaa.uu.n to tum mujhe manaanaa

    thaamaa hai haath meraa phir 'umr bhar nibhaanaa

    mujhe chho.D ke na jaanaa vaa'de hazaar kar ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now