Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap yuu.n hii agar ham se milte rahe

Raja Mehdi Ali Khan

aap yuu.n hii agar ham se milte rahe

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    Interesting Fact

    Ek Musafir Ek Hasina (1962)

    aap yuu.n hii agar ham se milte rahe

    dekhiye ek din pyaar ho jaa.egaa

    aisii baate.n na kar o hasii.n jaaduugar

    meraa dil terii aa.nkho.n me.n kho jaa.egaa

    piichhe piichhe mire aap aatii hai.n kyo.n

    merii raaho.n me.n aa.nkhe.n bichhaatii hai.n kyo.n

    aap aatii hai.n kyo.n

    kyaa kahuu.n aap se ye bhii ik raaz hai

    ek din is kaa iz.haar ho jaa.egaa

    mai.n mohabbat kii raaho.n se anjaan huu.n

    kyaa kahuu.n kyaa karuu.n mai.n pareshaan huu.n

    mai.n pareshaan huu.n

    aap kii ye pareshaaniyaa.n dekh kar

    meraa dil bhii pareshaan ho jaa.egaa

    kaisii jaaduugarii kii are jaaduugar

    tere chehre se haTtii nahii.n ye nazar

    he mirii ye nazar

    aisii nazro.n se dekhaa agar aap ne

    aisii nazro.n se dekhaa agar aap ne

    sharm se rang gulnaar ho jaa.egaa

    aap yuu.n hii agar ham se milte rahe

    dekhiye ek din pyaar ho jaa.egaa

    aisii baate.n na kar o hasiin jaaduugar

    meraa dil terii aa.nkho.n me.n kho jaa.egaa

    aap yuu.n hii agar ham se milte rahe

    dekhiye ek din pyaar ho jaa.egaa

    aisii baate.n na kar o hasii.n jaaduugar

    meraa dil terii aa.nkho.n me.n kho jaa.egaa

    piichhe piichhe mire aap aatii hai.n kyo.n

    merii raaho.n me.n aa.nkhe.n bichhaatii hai.n kyo.n

    aap aatii hai.n kyo.n

    kyaa kahuu.n aap se ye bhii ik raaz hai

    ek din is kaa iz.haar ho jaa.egaa

    mai.n mohabbat kii raaho.n se anjaan huu.n

    kyaa kahuu.n kyaa karuu.n mai.n pareshaan huu.n

    mai.n pareshaan huu.n

    aap kii ye pareshaaniyaa.n dekh kar

    meraa dil bhii pareshaan ho jaa.egaa

    kaisii jaaduugarii kii are jaaduugar

    tere chehre se haTtii nahii.n ye nazar

    he mirii ye nazar

    aisii nazro.n se dekhaa agar aap ne

    aisii nazro.n se dekhaa agar aap ne

    sharm se rang gulnaar ho jaa.egaa

    aap yuu.n hii agar ham se milte rahe

    dekhiye ek din pyaar ho jaa.egaa

    aisii baate.n na kar o hasiin jaaduugar

    meraa dil terii aa.nkho.n me.n kho jaa.egaa

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now