Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhaage to.D laa.o chaa.ndnii se nuur ke

Gulzar

dhaage to.D laa.o chaa.ndnii se nuur ke

Gulzar

MORE BYGulzar

    Interesting Fact

    Film: Jhoom Barabar Jhoom Year: 2007 Singer: Mahalaxmi Iyer,Rahat Fateh Ali Khan Music: Shankar-Ehsaan-Loy Actor: Abhishek Bachchan,Preity Zinta,Bobby Deol,Lara Dutta

    dhaage to.D laa.o chaa.ndnii se nuur ke

    ghuu.nghaT hii banaa lo raushnii se nuur ke

    sharm aa ga.ii to aaGosh me.n lo

    saa.nso.n se uljhii rahe.n merii saa.nse.n

    bol naa halke halke bol naa halke halke

    ho.nT se halke halke bol naa halke

    aa nii.nd kaa saudaa kare.n ik KHvaab de.n ik KHvaab le.n

    ik KHvaab to aa.nkho.n me.n hai ik chaa.nd ke takiye tale

    kitne dino.n se ye aasmaa.n bhii soyaa nahii.n hai is ko sulaa de.n

    bol naa halke halke

    'umre.n lagii.n kahte hu.e do lafz the ik baat thii

    vo ek din sau saal kaa sau saal kii vo raat thii

    kaisaa lage jo chup-chaap dono.n pal pal me.n puurii sadiyaa.n bitaa de.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now