fazaa bhii hai javaa.n javaa.n
Interesting Fact
Film: Nikaah Year: 1982 Singer: Salma Agha Music: Ravi Actor: Raj Babbar,Deepak Parashar,Salma Agha
fazaa bhii hai javaa.n javaa.n
havaa bhii hai ravaa.n ravaa.n
sunaa rahaa hai ye samaa.n
sunii sunii sii daastaa.n
fazaa bhii hai javaa.n javaa.n
pukaarte hai.n duur se vo qaafile bahaar ke
bikhar ga.e hai.n rang se kisii ke intizaar ke
lahar lahar ke ho.nT par vafaa kii hai.n kahaaniyaa.n
sunaa rahaa hai ye samaa.n
sunii sunii sii daastaa.n
fazaa bhii hai javaa.n javaa.n
bujhii magar bujhii nahii.n na jaane kaisii pyaas hai
qaraar dil se aaj bhii na duur hai na paas hai
ye khel dhuup chhaa.nv kaa ye qurbate.n ye duuriyaa.n
sunaa rahaa hai ye samaa.n
sunii sunii sii daastaa.n
fazaa bhii hai javaa.n javaa.n
har ek pal ko Dhuu.nDhtaa har ek pal chalaa gayaa
har ek pal firaaq kaa har ek pal visaal kaa
har ek pal guzar gayaa banaa ke dil pe ik nishaa.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.