Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chupke chupke sab duniya se chhup ke o dil wale humse aan milo

Qateel Shifai

chupke chupke sab duniya se chhup ke o dil wale humse aan milo

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    chupke chupke sab duniyā se chhup ke o dil vaale ham se aan milo

    haule haule pyaar bharā dil Dole o matvāle ham se aan milo

    ham ne tum se pyaar kiyā hai

    nāzuk iqrār kiyā hai

    āñchal Dhalke do nainoñ meñ chhalke ruup ke pyāle ham se aan milo

    chupke chupke sab duniyā se chhup ke o dil vaale ham se aan milo

    aa jaao tum raat se pahle

    tāroñ bārāt se pahle

    o harjā.ī shaam ye tanhā.ī maar na Daale ham se aan milo

    chupke chupke sab duniyā se chhup ke o dil vaale ham se aan milo

    Daal ke ham bāñhoñ meñ bāñheñ

    kāTeñge jīvan rāheñ

    chorī chorī gaa.eñ pyaar lorī bhole-bhāle ham se aan milo

    chupke chupke sab duniyā se chhup ke o dil vaale ham se aan milo

    chupke chupke sab duniya se chhup ke o dil wale hum se aan milo

    haule haule pyar bhara dil Dole o matwale hum se aan milo

    hum ne tum se pyar kiya hai

    nazuk sa iqrar kiya hai

    aanchal Dhalke do nainon mein chhalke rup ke pyale hum se aan milo

    chupke chupke sab duniya se chhup ke o dil wale hum se aan milo

    aa jao tum raat se pahle

    taron ki baraat se pahle

    o harjai sham ki ye tanhai mar na Dale hum se aan milo

    chupke chupke sab duniya se chhup ke o dil wale hum se aan milo

    Dal ke hum banhon mein banhen

    kaTenge jiwan ki rahen

    chori chori gaen pyar ki lori bhole-bhaale hum se aan milo

    chupke chupke sab duniya se chhup ke o dil wale hum se aan milo

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 175)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now