Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh ki badli kab se phaili har ghar se puchho

Saba Bilgrami

dukh ki badli kab se phaili har ghar se puchho

Saba Bilgrami

MORE BYSaba Bilgrami

    dukh badlī kab se phailī har ghar se pūchho

    dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho

    bahrī ho ga.ī prem bastī

    nagar pyaar gūñgā

    harī-bharī dhartī ke mukh par

    ḳhuun gahrā rishta

    soch ke tan meñ chubhte zahrīle nashtar se pūchho

    dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho

    chāroñ taraf dukhoñ ke jangal

    chintāon khaa.ī

    aas ke māthe rekhā

    niklī kitnī harjā.ī

    sukh raah meñ paḌe hue dukh ke patthar se pūchho

    dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho

    jīvan arthī ke pīchhe

    TuuTe phūTe chehre

    chain aur ārām ke tan par

    ghaav haiñ kitne gahre

    chhup ga.iiñ āshāoñ kirneñ kis ke Dar se pūchho

    dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho

    dukh ki badli kab se phaili har ghar se puchho

    dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho

    bahri ho gai prem ki basti

    nagar pyar ka gunga

    hari-bhari dharti ke mukh par

    KHun ka gahra rishta

    soch ke tan mein chubhte zahrile nashtar se puchho

    dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho

    chaaron taraf dukhon ke jangal

    chintaon ki khai

    aas ke mathe ki rekha

    nikli kitni harjai

    sukh ki rah mein paDe hue dukh ke patthar se puchho

    dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho

    jiwan ki arthi ke pichhe

    TuTe phuTe chehre

    chain aur aaram ke tan par

    ghaw hain kitne gahre

    chhup gain aashaon ki kirnen kis ke Dar se puchho

    dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho

    Source:

    Adab-e-Saba (Pg. 141)

    • Author: Saba Bilgrami
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now