Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi patthar ki murat se mohabbat ka irada hai

Sahir Ludhianvi

kisi patthar ki murat se mohabbat ka irada hai

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    kisī patthar mūrat se mohabbat irāda hai

    parastish tamannā hai ibādat irāda hai

    jo dil dhaḌkaneñ samjhe na āñkhoñ zabāñ samjhe

    nazar guftugū samjhe na jazboñ bayāñ samjhe

    usī ke sāmne us shikāyat irāda hai

    sunā hai har javāñ patthar ke dil meñ aag hotī hai

    magar jab tak na chheḌo sharm ke parde meñ sotī hai

    ye sochā hai ki dil baat us ke rū-ba-rū kar deñ

    har ik bejā takalluf se baġhāvat irāda hai

    mohabbat be-ruḳhī se aur bhaḌkegī vo kyā jaane

    tabī.at is adā par aur phaḌkegī vo kyā jaane

    vo kyā jaane ki apnī kis qayāmat irāda hai

    kisi patthar ki murat se mohabbat ka irada hai

    parastish ki tamanna hai ibaadat ka irada hai

    jo dil ki dhaDkanen samjhe na aankhon ki zaban samjhe

    nazar ki guftugu samjhe na jazbon ka bayan samjhe

    usi ke samne us ki shikayat ka irada hai

    suna hai har jawan patthar ke dil mein aag hoti hai

    magar jab tak na chheDo sharm ke parde mein soti hai

    ye socha hai ki dil ki baat us ke ru-ba-ru kar den

    har ek beja takalluf se baghawat ka irada hai

    mohabbat be-ruKHi se aur bhaDkegi wo kya jaane

    tabiat is ada par aur phaDkegi wo kya jaane

    wo kya jaane ki apni kis qayamat ka irada hai

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 325)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now