bhul sakta hai bhala kaun ye pyari aankhen
bhuul saktā hai bhalā kaun ye pyārī āñkheñ
rang meñ Duubī huī niiñd se bhārī āñkheñ
mirī har soch ne har saañs ne chāhā hai tumheñ
jab se dekhā hai tumheñ tab se sarāhā hai tumheñ
bas ga.ī haiñ mirī āñkhoñ meñ tumhārī āñkheñ
tum jo nazroñ ko uThāo to sitāre jhuk jaa.eñ
tum jo palkoñ ko jhukāo to zamāne ruk jaa.eñ
kyuuñ na ban jaa.eñ un āñkhoñ kī pujārī āñkheñ
jāgtī rātoñ ko sapnoñ kā ḳhazāna mil jaa.e
tum jo mil jaao to jiine kā bahāna mil jaa.e
apnī qismat pe kareñ naaz hamārī āñkheñ
bhul sakta hai bhala kaun ye pyari aankhen
rang mein Dubi hui nind se bhaari aankhen
meri har soch ne har sans ne chaha hai tumhein
jab se dekha hai tumhein tab se saraha hai tumhein
bas gai hain meri aankhon mein tumhaari aankhen
tum jo nazron ko uThao to sitare jhuk jaen
tum jo palkon ko jhukao to zamane ruk jaen
kyun na ban jaen un aankhon ki pujari aankhen
jagti raaton ko sapnon ka KHazana mil jae
tum jo mil jao to jine ka bahana mil jae
apni qismat pe karen naz hamari aankhen
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 314)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.