aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe bhul na jaana

Salam Sandelvi

mujhe bhul na jaana

Salam Sandelvi

MORE BYSalam Sandelvi

    miltī hai gale sub.h se ye raat suhānī

    ruḳhsat huī jaatī hai sitāroñ javānī

    ab tum bhī sidhāro mirī ummīd raanī

    lekin zarā is rasm-e-mohabbat ko nibhānā

    mujhe bhuul na jaanā

    mumkin hai ki duniyā tarab-nāk havā.eñ

    mumkin hai ki māhaul rangīn fazā.eñ

    tum ko mirī zanjīr-e-mohabbat se chhuḌā.eñ

    lekin mirī ulfat diyā tum na bujhānā

    mujhe bhuul na jaanā

    mumkin hai ki phir ho na sake tum se mulāqāt

    mumkin hai ki phir aa na sake utnī hasīñ raat

    lekin na bhulānā kabhī jo maiñ ne kahī baat

    tadbīr ke hāthoñ meñ hai taqdīr banānā

    mujhe bhuul na jaanā

    jab chāñd sanjogtā sar apnā jhukā.e

    jay-māl sitāroñ liye haath meñ aa.e

    tab tum ko bhī ai kaash mirī yaad satā.e

    tum bhī mujhe ik haar tasavvur meñ pahnānā

    mujhe bhuul na jaanā

    jab nahr ke ā.īne meñ nāhīd padman

    jugnū ke alaa.ī ko dikhā.e ruḳh-e-raushan

    tab tum bhī haTā ke dar-e-ummīd se chilman

    aks apnā mire ā.ina-e-dil meñ dikhānā

    mujhe bhuul na jaanā

    zarrīñ hai 'salām' aaj iqrār-e-mohabbat

    yā-rab raheñ dil donoñ ke sarshār-e-mohabbat

    tā-hashr mahaktā rahe gulzār-e-mohabbat

    zinda rahe ham donoñ ulfat fasāna

    mujhe bhuul na jaanā

    milti hai gale subh se ye raat suhani

    ruKHsat hui jati hai sitaron ki jawani

    ab tum bhi sidhaaro meri ummid ki rani

    lekin zara is rasm-e-mohabbat ko nibhana

    mujhe bhul na jaana

    mumkin hai ki duniya ki tarab-nak hawaen

    mumkin hai ki mahaul ki rangin fazaen

    tum ko meri zanjir-e-mohabbat se chhuDaen

    lekin meri ulfat ka diya tum na bujhana

    mujhe bhul na jaana

    mumkin hai ki phir ho na sake tum se mulaqat

    mumkin hai ki phir aa na sake utni hasin raat

    lekin na bhulana kabhi jo main ne kahi baat

    tadbir ke hathon mein hai taqdir banana

    mujhe bhul na jaana

    jab chand ki sanjogta sar apna jhukae

    jay-mal sitaron ka liye hath mein aae

    tab tum ko bhi ai kash meri yaad satae

    tum bhi mujhe ek haar tasawwur mein pahnana

    mujhe bhul na jaana

    jab nahr ke aaine mein nahid ki padman

    jugnu ke alai ko dikhae ruKH-e-raushan

    tab tum bhi haTa ke dar-e-ummid se chilman

    aks apna mere aaina-e-dil mein dikhana

    mujhe bhul na jaana

    zarrin hai 'salam' aaj ka iqrar-e-mohabbat

    ya-rab rahen dil donon ke sarshaar-e-mohabbat

    ta-hashr mahakta rahe gulzar-e-mohabbat

    zinda rahe hum donon ki ulfat ka fasana

    mujhe bhul na jaana

    Source:

    (Pg. 46)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now