aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin kiya to kar ke dekh

Sahir Ludhianvi

nahin kiya to kar ke dekh

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    nahīñ kiyā to kar ke dekh

    bhī kisī pe mar ke dekh

    husn ke bikhre phūloñ se

    dil jholī bhar ke dekh

    kaun tujhe kyā kahtā hai

    kyuuñ us ġham sahtā hai

    kutte bhūñkte rahte haiñ

    qāfila chaltā rahtā hai

    kabhī apne man kar ke dekh

    rahtīñ rasmeñ toḌ bhī de

    dil ko akelā chhoḌ bhī de

    duniyā dil dushman hai

    duniyā muñh moḌ bhī de

    kuchh to anokhā kar ke dekh

    ek rasta hai daulat

    dūsrā aish-o-ishrat

    tīsrā jhūTī izzat

    chauthā sachchī ulfat

    is raste se guzar ke dekh

    nahin kiya to kar ke dekh

    tu bhi kisi pe mar ke dekh

    husn ke bikhre phulon se

    dil ki jholi bhar ke dekh

    kaun tujhe kya kahta hai

    kyun us ka gham sahta hai

    kutte bhunkte rahte hain

    qafila chalta rahta hai

    kabhi apne man ki kar ke dekh

    rahtin rasmen toD bhi de

    dil ko akela chhoD bhi de

    duniya dil ki dushman hai

    duniya ka munh moD bhi de

    kuchh to anokha kar ke dekh

    ek rasta hai daulat ka

    dusra aish-o-ishrat ka

    tisra jhuTi izzat ka

    chautha sachchi ulfat ka

    is raste se guzar ke dekh

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 361)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now