Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang aur nur ki baraat kise pesh karun

Sahir Ludhianvi

rang aur nur ki baraat kise pesh karun

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    rang aur nuur bārāt kise pesh karūñ

    ye murādoñ hasīñ raat kise pesh karūñ

    maiñ ne jazbāt nibhā.e haiñ usūloñ jagah

    apne armān piro laayā huuñ phūloñ jagah

    tere sehre ye sauġhāt kise pesh karūñ

    ye mere sher mire āḳhirī nazrāne haiñ

    maiñ un apnoñ meñ huuñ jo aaj se begāne haiñ

    be-ta.alluq mulāqāt kise pesh karūñ

    surḳh joḌe tab-o-tāb mubārak ho tujhe

    terī āñkhoñ nayā ḳhvāb mubārak ho tujhe

    maiñ ye ḳhvāhish ye ḳhayālāt kise pesh karūñ

    kaun kahtā hai ki chāhat pe sabhī haq hai

    jise chāhe tirā pyaar usī haq hai

    mujh se kah de maiñ tirā haat kise pesh karūñ

    rang aur nur ki baraat kise pesh karun

    ye muradon ki hasin raat kise pesh karun

    main ne jazbaat nibhae hain usulon ki jagah

    apne arman piro laya hun phulon ki jagah

    tere sehre ki ye saughat kise pesh karun

    ye mere sher mere aaKHiri nazrane hain

    main un apnon mein hun jo aaj se begane hain

    be-talluq si mulaqat kise pesh karun

    surKH joDe ki tab-o-tab mubarak ho tujhe

    teri aankhon ka naya KHwab mubarak ho tujhe

    main ye KHwahish ye KHayalat kise pesh karun

    kaun kahta hai ki chahat pe sabhi ka haq hai

    tu jise chahe tera pyar usi ka haq hai

    mujh se kah de main tera hat kise pesh karun

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 352)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now