ye basti hai ya jangal
ye bastī hai yā jangal
har drishya yahāñ ban-vāsī
har chehra ik sannāTā
har āñgan meñ ek udāsī
ye gūñge peḌ gaḌe haiñ
yā sahme chor khaḌe haiñ
dariyā bhī uuñgh rahā hai
bādal bhī so.e paḌe haiñ
ye raat hai yā koī jogan
ye chāñd hai yā sanyāsī
har chehra ik sannāTā
har āñgan meñ ek udāsī
ye āñkhoñ vaale andhe
karte haiñ gorakh dhandhe
bhagvān bane phirte haiñ
bhagvān ke mūrakh bande
shahroñ meñ aag lagā kar
ḳhud ho ga.e parbat vaasī
har chehra ik sannāTā
har āñgan meñ ek udāsī
mandir masjid gurū-dvāre
rote haiñ haath pasāre
maz.hab kā ḳhol pahn kar
bhaa.ī ko bhaa.ī maare
mullā ne aur panDit ne
dharmoñ ko kiyā siyāsī
har chehra ik sannāTā
har āñgan meñ ek udāsī
nafrat kā yahāñ mausam hai
'ismat kā yahāñ mātam hai
har koThe har ik siitā
har chakle par mariyam hai
har shabd shailī par tā'ne
kyā ḳhaak likhe itihāsī
har chehra ik sannāTā
har āñgan meñ ek udāsī
maz.hab kā toḌo gherā
is meñ kyā terā merā
niilī chādar ke nīche
dhartī par sab kā Derā
sab tīrath ek barābar
kyā kā'ba aur kyā kāshī
har chehra ik sannāTā
har āñgan meñ ek udāsī
ye basti hai ya jangal
har drishya yahan ban-wasi
har chehra ek sannaTa
har aangan mein ek udasi
ye gunge peD gaDe hain
ya sahme chor khaDe hain
dariya bhi ungh raha hai
baadal bhi soe paDe hain
ye raat hai ya koi jogan
ye chand hai ya sanyasi
har chehra ek sannaTa
har aangan mein ek udasi
ye aankhon wale andhe
karte hain gorakh dhandhe
bhagwan bane phirte hain
bhagwan ke murakh bande
shahron mein aag laga kar
KHud ho gae parbat wasi
har chehra ek sannaTa
har aangan mein ek udasi
mandir masjid guru-dware
rote hain hath pasare
mazhab ka KHol pahn kar
bhai ko bhai mare
mulla ne aur panDit ne
dharmon ko kiya siyasi
har chehra ek sannaTa
har aangan mein ek udasi
nafrat ka yahan mausam hai
'ismat ka yahan matam hai
har koThe har ek sita
har chakle par mariyam hai
har shabd shaili par ta'ne
kya KHak likhe itihasi
har chehra ek sannaTa
har aangan mein ek udasi
mazhab ka toDo ghera
is mein kya tera mera
nili chadar ke niche
dharti par sab ka Dera
sab tirath ek barabar
kya ka'ba aur kya kashi
har chehra ek sannaTa
har aangan mein ek udasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.